ashk in aankhon se hum dil mein baha kar dekhen
ashk in āñkhoñ se ham dil meñ bahā kar dekheñ
aaj sailāb ko siine meñ chhupā kar dekheñ
ek baar aur zarā dil se mire khel kareñ
ek baar aur mirī āñkhoñ meñ aa kar dekheñ
aap ke dil meñ utar jā.ūñgā dhaḌkan ban kar
mere hāthoñ se kabhī haath milā kar dekheñ
kyā ḳhabar aa.e vo jab tez hoñ zaḳhmoñ ke diye
un charāġhoñ kī laveñ aur baḌhā kar dekheñ
bārish-e-ġham meñ hañsī bhīgī huī hai merī
shak agar ho to use haath lagā kar dekheñ
ham jise chāhte haiñ duur se dekhā hai use
jī bahut chāhtā hai paas bulā kar dekheñ
ashk in aankhon se hum dil mein baha kar dekhen
aaj sailab ko sine mein chhupa kar dekhen
ek bar aur zara dil se mere khel karen
ek bar aur meri aankhon mein aa kar dekhen
aap ke dil mein utar jaunga dhaDkan ban kar
mere hathon se kabhi hath mila kar dekhen
kya KHabar aae wo jab tez hon zaKHmon ke diye
un charaghon ki lawen aur baDha kar dekhen
barish-e-gham mein hansi bhigi hui hai meri
shak agar ho to use hath laga kar dekhen
hum jise chahte hain dur se dekha hai use
ji bahut chahta hai pas bula kar dekhen
- Book : Pehchan (Pg. 85)
- Author : Ateeq Anzar
- Publication : Nai Awaz Jamia Nagar New Delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.