ashk ko aankh ki dahliz pe laya na karo
ashk ko aañkh kī dahlīz pe laayā na karo
dil ke hālāt zamāne ko batāyā na karo
apnī āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb sajāyā na karo
pyaar kā tāj-mahal dil ko banāyā na karo
ḳhusbū-e-ishq bhī hai itr kī ḳhushbū jaisī
saḳht dushvār hai ai yaar chhupāyā na karo
ḳhud hī sāñpoñ ko bulā lete ho apne ghar meñ
peḌ chandan ke tum āñgan meñ lagāyā na karo
rab to hai shāfī-e-mutlaq hai shifā-baḳhsh vahī
sar dar-e-ġhair pe tum apnā jhukāyā na karo
ḳhvāb ke jitne gharauñde haiñ bikhar jā.eñge
apnī palkoñ pe ka.ī ḳhvāb sajāyā na karo
sañg-dil jo bhī haiñ un ko na basāo dil meñ
shīsh-mahloñ meñ kabhī sañg lagāyā na karo
būñdā-bāndī bhī muqaddar meñ nahīñ hai 'zaryāb'
apne āñgan meñ na.e peḌ lagāyā na karo
ashk ko aankh ki dahliz pe laya na karo
dil ke haalat zamane ko bataya na karo
apni aankhon mein hasin KHwab sajaya na karo
pyar ka taj-mahal dil ko banaya na karo
KHusbu-e-ishq bhi hai itr ki KHushbu jaisi
saKHt dushwar hai ai yar chhupaya na karo
KHud hi sanpon ko bula lete ho apne ghar mein
peD chandan ke tum aangan mein lagaya na karo
rab to hai shafi-e-mutlaq hai shifa-baKHsh wahi
sar dar-e-ghair pe tum apna jhukaya na karo
KHwab ke jitne gharaunde hain bikhar jaenge
apni palkon pe kai KHwab sajaya na karo
sang-dil jo bhi hain un ko na basao dil mein
shish-mahlon mein kabhi sang lagaya na karo
bunda-bandi bhi muqaddar mein nahin hai 'zaryab'
apne aangan mein nae peD lagaya na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.