ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya
ashk ko dariyā banāyā aañkh ko sāhil kiyā
maiñ ne mushkil vaqt ko kuchh aur bhī mushkil kiyā
ek māyūsī hī dil meñ kab talak rahtī mire
maiñ ne māyūsī meñ dil kā ḳhauf bhī shāmil kiyā
niiñd kī imdād jaise hī baham pahuñchī mujhe
aañkh ke maqtal meñ apne ḳhvāb ko dāḳhil kiyā
varna terā chhoḌ jaanā jaan le jaatā mirī
karb meñ aañsū milā kar dard ko zaa.il kiyā
jaise duniyā dekhtī hai vaise kab tak dekhte
dīda-e-bīnā se dekheñ ḳhud ko is qābil kiyā
ek chehra aur do āñkheñ le ga.e bāzār meñ
girvī rakh ke un ko phir ik aa.ina hāsil kiyā
varna vo kab baat suntā thā kisī kī bazm meñ
maiñ ne apne sher se us shaḳhs ko qaa.il kiyā
be-niyāzī se guzāre umr ke battīs saal
kho diyā kab jaane tujh ko kab tujhe hāsil kiyā
rāt-din ulTā laTak kar zaat ke kuueñ meñ 'zeb'
soch kī nā-puḳhtagī ko mashq se kāmil kiyā
ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya
main ne mushkil waqt ko kuchh aur bhi mushkil kiya
ek mayusi hi dil mein kab talak rahti mere
main ne mayusi mein dil ka KHauf bhi shamil kiya
nind ki imdad jaise hi baham pahunchi mujhe
aankh ke maqtal mein apne KHwab ko daKHil kiya
warna tera chhoD jaana jaan le jata meri
karb mein aansu mila kar dard ko zail kiya
jaise duniya dekhti hai waise kab tak dekhte
dida-e-bina se dekhen KHud ko is qabil kiya
ek chehra aur do aankhen le gae bazar mein
girwi rakh ke un ko phir ek aaina hasil kiya
warna wo kab baat sunta tha kisi ki bazm mein
main ne apne sher se us shaKHs ko qail kiya
be-niyazi se guzare umr ke battis sal
kho diya kab jaane tujh ko kab tujhe hasil kiya
raat-din ulTa laTak kar zat ke kuen mein 'zeb'
soch ki na-puKHtagi ko mashq se kaamil kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.