ashk ko raegan samajhte ho
ashk ko rā.egāñ samajhte ho
tum mirā dukh kahāñ samajhte ho
sach batāo phir apne baare meñ
gar mujhe rāz-dāñ samajhte ho
shab-gazīda huuñ dil-shikasta nahīñ
aag huuñ maiñ dhuāñ samajhte ho
sunte rahte ho kyoñ tavajjoh se
kyā mirī dāstāñ samajhte ho
kyā samajhte ho tum agar tum bhī
ishq ko imtihāñ samajhte ho
ghuum kar dekhte ho duniyā ko
rāz-e-kaun-o-makāñ samajhte ho
maiñ 'fidā' huuñ tumhārī āñkhoñ par
aur tum nīm-jāñ samajhte ho
ashk ko raegan samajhte ho
tum mera dukh kahan samajhte ho
sach batao phir apne bare mein
gar mujhe raaz-dan samajhte ho
shab-gazida hun dil-shikasta nahin
aag hun main dhuan samajhte ho
sunte rahte ho kyon tawajjoh se
kya meri dastan samajhte ho
kya samajhte ho tum agar tum bhi
ishq ko imtihan samajhte ho
ghum kar dekhte ho duniya ko
raaz-e-kaun-o-makan samajhte ho
main 'fida' hun tumhaari aankhon par
aur tum nim-jaan samajhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.