ashk mere gauhar-e-nayab ho gae
ashk mere gauhar-e-nāyāb ho ga.e
hasratoñ ke sab bhañvar ġharqāb ho ga.e
kal ḳhulūsoñ ke chaman mahkā kiye jahāñ
gum kahāñ vo pyaar ke ādāb ho ga.e
phir ḳhayāloñ se tire aisā asar huā
sab nazāre dard ke shādāb ho ga.e
dushmanoñ se dostī karnā ḳhatā huī
yak-ba-yak nālāñ sabhī ahbāb ho ga.e
hausle le kar ilāj-e-tīragī kiye
vo sabhī jugnū kahāñ kamyāb ho ga.e
tum nahīñ to gulsitāñ ko khā ga.ī ḳhizāñ
zaḳhm khulne ke liye asbāb ho ga.e
bas ḳhatā 'zākir' hamārī itnī sī rahī
ham vafā kī raah meñ nāyāb ho ga.e
ashk mere gauhar-e-nayab ho gae
hasraton ke sab bhanwar gharqab ho gae
kal KHuluson ke chaman mahka kiye jahan
gum kahan wo pyar ke aadab ho gae
phir KHayalon se tere aisa asar hua
sab nazare dard ke shadab ho gae
dushmanon se dosti karna KHata hui
yak-ba-yak nalan sabhi ahbab ho gae
hausle le kar ilaj-e-tiragi kiye
wo sabhi jugnu kahan kamyab ho gae
tum nahin to gulsitan ko kha gai KHizan
zaKHm khulne ke liye asbab ho gae
bas KHata 'zakir' hamari itni si rahi
hum wafa ki rah mein nayab ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.