ashk meri aankh ke qarin kahin tha
ashk mirī aañkh ke qarīn kahīñ thā
ġham jo mire dil meñ jāguzīn kahīñ thā
chhoḌ gayā to mujhe jī kaise bahaltā
tujh sā zamāne meñ kyā hasīn kahīñ thā
rāh-guzāroñ se ye makān kahe hai
raah meñ dekhā mirā makīn kahīñ thā
maiñ ki na martā thā mujh ko maar gayā phir
yaar sā ik mār-e-āstīn kahīñ thā
haar muqaddar 'niyāz' honī thī vo hai
diin kahīñ thā tirā yaqīn kahīñ thā
ashk meri aankh ke qarin kahin tha
gham jo mere dil mein jaguzin kahin tha
chhoD gaya to mujhe ji kaise bahalta
tujh sa zamane mein kya hasin kahin tha
rah-guzaron se ye makan kahe hai
rah mein dekha mera makin kahin tha
main ki na marta tha mujh ko mar gaya phir
yar sa ek mar-e-astin kahin tha
haar muqaddar 'niyaz' honi thi wo hai
din kahin tha tera yaqin kahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.