ashk mizhgan-e-tar ki punji hai
ashk mizhgān-e-tar kī pūñjī hai
ye samar us shajar kī pūñjī hai
aah ko mat haqīr jaan yahī
dūdmān-e-asar kī pūñjī hai
jo ghaḌī yaad meñ tirī kaT jaa.e
vo hī āThoñ pahar kī pūñjī hai
jalva-e-yār hai aziiz bahut
yahī ahl-e-nazar kī pūñjī hai
jald achchhā ho ye ta.ālallāh
yahī 'inshā' ke ghar kī pūñjī hai
terī baḳhshī hui ḳhudāvandā
merī ye umr bhar ke pūñjī hai
maiñ tire sadqe bas yahī mere
dil-o-jān-o-jigar kī pūñjī hai
ashk mizhgan-e-tar ki punji hai
ye samar us shajar ki punji hai
aah ko mat haqir jaan yahi
dudman-e-asar ki punji hai
jo ghaDi yaad mein teri kaT jae
wo hi aaThon pahar ki punji hai
jalwa-e-yar hai aziz bahut
yahi ahl-e-nazar ki punji hai
jald achchha ho ye taalallah
yahi 'insha' ke ghar ki punji hai
teri baKHshi hui KHudawanda
meri ye umr bhar ke punji hai
main tere sadqe bas yahi mere
dil-o-jaan-o-jigar ki punji hai
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.