ashk palkon pe jab bhi aata hai
ashk palkoñ pe jab bhī aatā hai
aks āñkhoñ meñ thartharātā hai
gher letā hai mujh ko sannāTā
jab bhī sūraj utar ke jaatā hai
kis ne pūchhā ham aise muflis ko
kaun hai jo hameñ bulātā hai
faḳhr se ham jo Dālte haiñ nazar
aa.ina ham pe muskurātā hai
ham to kahte haiñ is ko pāgalpan
ret par ghar koī banātā hai
kal jo Tapkā thā merī āñkhoñ se
ve sitāroñ meñ jagmagātā hai
ḳhvāb bahne lage haiñ ashkoñ se
kaun sā ġham use rulātā hai
ruk jā kuchh der merī bāhoñ meñ
bāġh-e-jannat se kaun jaatā hai
ashk palkon pe jab bhi aata hai
aks aankhon mein thartharaata hai
gher leta hai mujh ko sannaTa
jab bhi suraj utar ke jata hai
kis ne puchha hum aise muflis ko
kaun hai jo hamein bulata hai
faKHr se hum jo Dalte hain nazar
aaina hum pe muskuraata hai
hum to kahte hain is ko pagalpan
ret par ghar koi banata hai
kal jo Tapka tha meri aankhon se
we sitaron mein jagmagata hai
KHwab bahne lage hain ashkon se
kaun sa gham use rulata hai
ruk ja kuchh der meri bahon mein
bagh-e-jannat se kaun jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.