ashk pina paDa gham chhupana paDa
ashk piinā paḌā ġham chhupānā paḌā
tum se mil kar hameñ muskurānā paḌā
ho ke nādim vo milne ko jab aa ga.e
saarā shikva gila bhuul jaanā paḌā
aa ke dahlīz par mujh se ḳhuddār kī
māl-o-zar ko tire sar jhukānā paḌā
jhuk ga.e sar sabhī ke to āḳhir mujhe
pesh-e-teġh-e-sitam sar uThānā paḌā
khel dil kā bhī 'zaḳhmī' ajab khel hai
jiit kar bhī mujhe haar jaanā paḌā
ashk pina paDa gham chhupana paDa
tum se mil kar hamein muskurana paDa
ho ke nadim wo milne ko jab aa gae
sara shikwa gila bhul jaana paDa
aa ke dahliz par mujh se KHuddar ki
mal-o-zar ko tere sar jhukana paDa
jhuk gae sar sabhi ke to aaKHir mujhe
pesh-e-tegh-e-sitam sar uThana paDa
khel dil ka bhi 'zaKHmi' ajab khel hai
jit kar bhi mujhe haar jaana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.