ashk pine pe rahe dard chhupane pe rahe
ashk piine pe rahe dard chhupāne pe rahe
ek sach bol ke kis kis ke nishāne pe rahe
umr-bhar husn tire naaz uThāne pe rahe
aab āñkhoñ meñ liye aag bujhāne pe rahe
tum parinde the ga.e aa.e ga.e phir aa.e
peḌ the ham to sadā ek Thikāne pe rahe
ham se chhoḌī na ga.ī arz-e-vatan kī miTTī
apne ajdād kī qabroñ ke bahāne pe rahe
muflisī bhuuk ye bachcha ye khilaune kī dukān
bojh itnā na kisī baap ke shāne pe rahe
aise mausam meñ tumheñ yaad bahut ā.ūñgā
jab havā surḳh gulāboñ ko jalāne pe rahe
jab bhī shab-ḳhūn qabīle pe adū ne maarā
jitne sardār the sab jaan bachāne pe rahe
mujh se har saañs pe māñgā gayā shiddat se ḳhirāj
mere ehsān idhar saare zamāne pe rahe
taaj ġhairoñ ne mire sar pe sajā.e 'bazmī'
mere apne mirī dastār girāne pe rahe
ashk pine pe rahe dard chhupane pe rahe
ek sach bol ke kis kis ke nishane pe rahe
umr-bhar husn tere naz uThane pe rahe
aab aankhon mein liye aag bujhane pe rahe
tum parinde the gae aae gae phir aae
peD the hum to sada ek Thikane pe rahe
hum se chhoDi na gai arz-e-watan ki miTTi
apne ajdad ki qabron ke bahane pe rahe
muflisi bhuk ye bachcha ye khilaune ki dukan
bojh itna na kisi bap ke shane pe rahe
aise mausam mein tumhein yaad bahut aaunga
jab hawa surKH gulabon ko jalane pe rahe
jab bhi shab-KHun qabile pe adu ne mara
jitne sardar the sab jaan bachane pe rahe
mujh se har sans pe manga gaya shiddat se KHiraj
mere ehsan idhar sare zamane pe rahe
taj ghairon ne mere sar pe sajae 'bazmi'
mere apne meri dastar girane pe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.