Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk tanhai udasi rah gai

Sandeep Thakur

ashk tanhai udasi rah gai

Sandeep Thakur

MORE BYSandeep Thakur

    ashk tanhā.ī udāsī rah ga.ī

    un dinoñ yaad baaqī rah ga.ī

    moḌ pe vo aañkh se ojhal huā

    be-qarārī raah taktī rah ga.ī

    titlī parvāz kaise dekhtā

    aañkh to rangoñ meñ uljhī rah ga.ī

    sapne to sapne the sapne rahe

    zindagī sapne sajātī rah ga.ī

    baaḌh paanī to utrā hai magar

    har taraf saḌkoñ pe miTTī rah ga.ī

    phir dobāra dost ham ban to ga.e

    par diloñ meñ thoḌī talḳhī rah ga.ī

    kho ga.ī bachpan vo ma.asūmiyat

    jo khilaunoñ ko tarastī rah ga.ī

    shaam ne thak ke sameTā to badan

    dhuup phir bhī chhat pe bikhrī rah ga.ī

    manziloñ tak the musāfir ham-safar

    raah āḳhir meñ akelī rah ga.ī

    ek kashtī duur sāhil pe khaḌī

    bas nadī lahreñ gintī rah ga.ī

    ashk tanhai udasi rah gai

    un dinon ki yaad baqi rah gai

    moD pe wo aankh se ojhal hua

    be-qarari rah takti rah gai

    titli ki parwaz kaise dekhta

    aankh to rangon mein uljhi rah gai

    sapne to sapne the sapne hi rahe

    zindagi sapne sajati rah gai

    baDh ka pani to utra hai magar

    har taraf saDkon pe miTTi rah gai

    phir dobara dost hum ban to gae

    par dilon mein thoDi talKHi rah gai

    kho gai bachpan ki wo masumiyat

    jo khilaunon ko tarasti rah gai

    sham ne thak ke sameTa to badan

    dhup phir bhi chhat pe bikhri rah gai

    manzilon tak the musafir ham-safar

    rah aaKHir mein akeli rah gai

    ek kashti dur sahil pe khaDi

    bas nadi ki lahren ginti rah gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now