Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk tham gae honge dil sambhal gaya hoga

Shahnaz Parveen Sahar

ashk tham gae honge dil sambhal gaya hoga

Shahnaz Parveen Sahar

MORE BYShahnaz Parveen Sahar

    ashk tham ga.e hoñge dil sambhal gayā hogā

    jaane kaun saa.at phir dam nikal gayā hogā

    itnī aag to sāhab puurā ghar jalā degī

    aañch dhīmī kar liije duudh ubal gayā hogā

    maañg ujāḌne vaalo god kyā ujāḌoge

    maañ ġharīb ho kar bhī la.al pal gayā hogā

    ajnabī ḳhalāoñ meñ Daar se bichhaḌte

    jaal bichh ga.e hoñge vaar chal gayā hogā

    nā-murād rāhoñ par lauT kar bhī kyā aate

    be-gharī ke māroñ ghar badal gayā hogā

    maut ke añdhere meñ vaqt tham gayā hogā

    raat bujh ga.ī hogī din bhī Dhal gayā hogā

    bad-gumān hāthoñ meñ kis ne kamān āḳhir

    ḳhud the nishāne par tiir chal gayā hogā

    muztarib ḳhayālī meñ kab ḳhayāl rahtā hai

    roTiyāñ pakāne meñ haath jal gayā hogā

    ab ke shaam aa.ī hai jaane kin zamīnoñ par

    kaun se jahānoñ meñ din nikal gayā hogā

    ashk tham gae honge dil sambhal gaya hoga

    jaane kaun saat phir dam nikal gaya hoga

    itni aag to sahab pura ghar jala degi

    aanch dhimi kar lije dudh ubal gaya hoga

    mang ujaDne walo god kya ujaDoge

    man gharib ho kar bhi lal pal gaya hoga

    ajnabi KHalaon mein Dar se bichhaDte hi

    jal bichh gae honge war chal gaya hoga

    na-murad rahon par lauT kar bhi kya aate

    be-ghari ke maron ka ghar badal gaya hoga

    maut ke andhere mein waqt tham gaya hoga

    raat bujh gai hogi din bhi Dhal gaya hoga

    bad-guman hathon mein kis ne di kaman aaKHir

    KHud hi the nishane par tir chal gaya hoga

    muztarib KHayali mein kab KHayal rahta hai

    roTiyan pakane mein hath jal gaya hoga

    ab ke sham aai hai jaane kin zaminon par

    kaun se jahanon mein din nikal gaya hoga

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now