ashk umDen to unhen palkon pe roka jae
ashk umDeñ to unheñ palkoñ pe rokā jaa.e
kyoñ ye pindār-e-vafā sūrat-e-girya jaa.e
jab se dekhe haiñ tirī āñkhoñ ke sāgar ham ne
ik na.ī aarzū ubhrī hai ki Duubā jaa.e
maiñ samā.at meñ sameTe huuñ hazāroñ dushnām
zabt-e-ġham kā hai ye irshād na bolā jaa.e
ham ko is ḳhvāb-e-mohabbat se jagāyā kis ne
naqsh chehroñ pe adāvat kā na dekhā jaa.e
zaḳhm-ḳhurda na kahīñ uñgliyāñ vahshat ho jaa.eñ
barbat-e-dil ko kisī ke na yuuñ chheḌā jaa.e
dil hai maslūb-e-anā baam pe sūraj bhī nahīñ
kis tarah ghar ke añdheroñ ko ujālā jaa.e
paañv jab ḳhār-e-muġhīlāñ se haiñ chhalnī 'ābid'
kyoñ na phir ātish-e-namrūd meñ utrā jaa.e
ashk umDen to unhen palkon pe roka jae
kyon ye pindar-e-wafa surat-e-girya jae
jab se dekhe hain teri aankhon ke sagar hum ne
ek nai aarzu ubhri hai ki Duba jae
main samaat mein sameTe hun hazaron dushnam
zabt-e-gham ka hai ye irshad na bola jae
hum ko is KHwab-e-mohabbat se jagaya kis ne
naqsh chehron pe adawat ka na dekha jae
zaKHm-KHurda na kahin ungliyan wahshat ho jaen
barbat-e-dil ko kisi ke na yun chheDa jae
dil hai maslub-e-ana baam pe suraj bhi nahin
kis tarah ghar ke andheron ko ujala jae
panw jab KHar-e-mughilan se hain chhalni 'abid'
kyon na phir aatish-e-namrud mein utra jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.