ashkon ka ambar chhupa hai aankhon mein
ashkoñ kā ambār chhupā hai āñkhoñ meñ
yaar bahut āzār chhupā hai āñkhoñ meñ
phuul sitāre jugnū titlī aur dhanak
ya.anī ik sansār chhupā hai āñkhoñ meñ
jhāñk ke tū ḳhud ik din in meñ dekh zarā
kitnā terā pyaar chhupā hai āñkhoñ meñ
merī āñkheñ sab se ziyāda haiñ anmol
kyoñ ki merā yaar chhupā hai āñkhoñ meñ
ek zuleḳhā is meñ yūsuf DhūñDhtī hai
misr kā jo bāzār chhupā hai āñkhoñ meñ
aksar aatā rahtā hai sailāb yahāñ
tū aa ke bekār chhupā hai āñkhoñ meñ
ham donoñ ne mil ke jis ke ḳhvāb bune
yaar vahī ghar-bār chhupā hai āñkhoñ meñ
ashkon ka ambar chhupa hai aankhon mein
yar bahut aazar chhupa hai aankhon mein
phul sitare jugnu titli aur dhanak
yani ek sansar chhupa hai aankhon mein
jhank ke tu KHud ek din in mein dekh zara
kitna tera pyar chhupa hai aankhon mein
meri aankhen sab se ziyaada hain anmol
kyon ki mera yar chhupa hai aankhon mein
ek zuleKHa is mein yusuf DhunDhti hai
misr ka jo bazar chhupa hai aankhon mein
aksar aata rahta hai sailab yahan
tu aa ke bekar chhupa hai aankhon mein
hum donon ne mil ke jis ke KHwab bune
yar wahi ghar-bar chhupa hai aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.