ashkon mein aaj phir se nahae hue hain hum
ashkoñ meñ aaj phir se nahā.e hue haiñ ham
kūche se us sanam ke bhagā.e hue haiñ ham
hākim vatan ke vāste qurbāniyāñ na pūchh
jaañ ik taraf jahān luTā.e hue haiñ ham
mujh ko jo dekhā us ne kahā yūsufī suno
uñglī to kyā jigar hī kaTā.e hue haiñ ham
ham ḳhvāb tere dekheñ ye mumkin nahīñ kabhī
tujh se bichhaḌ ke niiñd gañvā.e hue haiñ ham
ham sab aTuuT añg haiñ ik murda jism ke
ahl-e-vatan ke hāthoñ satā.e hue haiñ ham
ai maut ruk jā aañkh hamārī na band kar
āñkhoñ meñ ḳhvāb-e-vasl sajā.e hue haiñ ham
kal tak samajh rahe the hameñ ham-nafas magar
ye kyā sitam hai aaj parā.e hue haiñ ham
'kāshif' zamīn-e-husn pe barsāt ke liye
āvārgī ko abr banā.e hue haiñ ham
ashkon mein aaj phir se nahae hue hain hum
kuche se us sanam ke bhagae hue hain hum
hakim watan ke waste qurbaniyan na puchh
jaan ek taraf jahan luTae hue hain hum
mujh ko jo dekha us ne kaha yusufi suno
ungli to kya jigar hi kaTae hue hain hum
hum KHwab tere dekhen ye mumkin nahin kabhi
tujh se bichhaD ke nind ganwae hue hain hum
hum sab aTuT ang hain ek murda jism ke
ahl-e-watan ke hathon satae hue hain hum
ai maut ruk ja aankh hamari na band kar
aankhon mein KHwab-e-wasl sajae hue hain hum
kal tak samajh rahe the hamein ham-nafas magar
ye kya sitam hai aaj parae hue hain hum
'kashif' zamin-e-husn pe barsat ke liye
aawargi ko abr banae hue hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.