ashkon mein dukh kah jata hai
ashkoñ meñ dukh kah jaatā hai
ab dil har ġham sah jaatā hai
yaad barābar aatā hai vo
jo bhī dil meñ rah jaatā hai
ā.ūñgā maiñ ik din phir se
vaqt sabhī se kah jaatā hai
niiv agar kamzor bahut ho
puḳhta ghar bhī Dhah jaatā hai
hasrat puurī ho jaane par
ishq adhūrā rah jaatā hai
jis ke dil meñ paap nahīñ kuchh
muñh par sab kuchh kah jaatā hai
ashkon mein dukh kah jata hai
ab dil har gham sah jata hai
yaad barabar aata hai wo
jo bhi dil mein rah jata hai
aaunga main ek din phir se
waqt sabhi se kah jata hai
niw agar kamzor bahut ho
puKHta ghar bhi Dhah jata hai
hasrat puri ho jaane par
ishq adhura rah jata hai
jis ke dil mein pap nahin kuchh
munh par sab kuchh kah jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.