ashkon ne samundar mein ek aag lagai hai
ashkoñ ne samundar meñ ik aag lagā.ī hai
paanī pe sitam-gar kī tasvīr banā.ī hai
is dil ne rulāyā hai ik baar mujhe phir se
is dil ne mujhe phir se vo yaad dilā.ī hai
ye kaisī judā.ī hai jo ḳhatm nahīñ hotī
ye kaisī udāsī hai is dil pe jo chhā.ī hai
maiñ ne hī mohabbat kā iz.hār kiyā pahle
maiñ ne hī use jā kar ye baat batā.ī hai
mushkil se guzārā hai is dil ne bahut mujh ko
is dil ko agar terī kuchh yaad bhī aa.ī hai
ik kaam kā ham ne bhī ye kaam kiyā hai bas
ik naam kī shohrat hī bas ham ne kamā.ī hai
bas maiñ ne 'vaqās' us ko is dil meñ basāyā hai
bas maiñ ne 'vaqās' us se ye baat chhupā.ī hai
ashkon ne samundar mein ek aag lagai hai
pani pe sitam-gar ki taswir banai hai
is dil ne rulaya hai ek bar mujhe phir se
is dil ne mujhe phir se wo yaad dilai hai
ye kaisi judai hai jo KHatm nahin hoti
ye kaisi udasi hai is dil pe jo chhai hai
main ne hi mohabbat ka izhaar kiya pahle
main ne hi use ja kar ye baat batai hai
mushkil se guzara hai is dil ne bahut mujh ko
is dil ko agar teri kuchh yaad bhi aai hai
ek kaam ka hum ne bhi ye kaam kiya hai bas
ek nam ki shohrat hi bas hum ne kamai hai
bas main ne 'waqas' us ko is dil mein basaya hai
bas main ne 'waqas' us se ye baat chhupai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.