ashkon se dil ki aag bujhaenge aap bhi
ashkoñ se dil kī aag bujhā.eñge aap bhī
kar kar ke yaad mujh ko bhulā.eñge aap bhī
phir shauq-e-intizār kī taskīñ ke vāste
chaukhaT pe ik diyā to jalā.eñge aap bhī
āye.gā zikr jab mirā mahfil meñ vaqt-e-shām
aahoñ ko qahqahoñ meñ dabā.eñge aap bhī
TūTeñge ā.inoñ kī tarah pal meñ ek shab
palkoñ pe jitne ḳhvāb sajā.eñge aap bhī
aa.egī yaad chāñd se chehre kī jab chamak
qisse to raushnī ke sunā.eñge aap bhī
husn-e-tasavvurāt meñ likkheñge ek ḳhat
likkheñge phaaḌ deñge jalā.eñge aap bhī
jā.eñge roz-e-vasl ke lamhāt kī jagah
ḳhushbū-e-lams-e-yār churāeñge aap bhī
utregā saare shahr ke chehroñ pe merā aks
kitnoñ ko jaan kah ke bulā.eñge aap bhī
ashkon se dil ki aag bujhaenge aap bhi
kar kar ke yaad mujh ko bhulaenge aap bhi
phir shauq-e-intizar ki taskin ke waste
chaukhaT pe ek diya to jalaenge aap bhi
aayega zikr jab mera mahfil mein waqt-e-sham
aahon ko qahqahon mein dabaenge aap bhi
TuTenge aainon ki tarah pal mein ek shab
palkon pe jitne KHwab sajaenge aap bhi
aaegi yaad chand se chehre ki jab chamak
qisse to raushni ke sunaenge aap bhi
husn-e-tasawwuraat mein likkhenge ek KHat
likkhenge phaD denge jalaenge aap bhi
jaenge roz-e-wasl ke lamhat ki jagah
KHushbu-e-lams-e-yar churaenge aap bhi
utrega sare shahr ke chehron pe mera aks
kitnon ko jaan kah ke bulaenge aap bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.