ashkon se jo likhi thi wo tahrir kho gai
ashkoñ se jo likhī thī vo tahrīr kho ga.ī
ḳhvāboñ bhare jahān meñ ta.abīr kho ga.ī
aks-e-jamāl-e-yār kahīñ aur jā paḌā
ā.īna chīḳhtā rahā tasvīr kho ga.ī
rāñjhā thā be-qarār mire dasht-e-ḳhvāb meñ
ro ro ke kah rahā thā mirī hiir kho ga.ī
yūñhī maiñ ḳhud ko qaidī samajhtā huuñ aaj tak
paañv meñ jo paḌī thī vo zanjīr kho ga.ī
muddat se laḌ rahā huuñ 'safī' apne aap se
ab hausle ke haath se shamshīr kho ga.ī
ashkon se jo likhi thi wo tahrir kho gai
KHwabon bhare jahan mein tabir kho gai
aks-e-jamal-e-yar kahin aur ja paDa
aaina chiKHta raha taswir kho gai
ranjha tha be-qarar mere dasht-e-KHwab mein
ro ro ke kah raha tha meri hir kho gai
yunhi main KHud ko qaidi samajhta hun aaj tak
panw mein jo paDi thi wo zanjir kho gai
muddat se laD raha hun 'safi' apne aap se
ab hausle ke hath se shamshir kho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.