ashkon se mere rabt purane nikal paDe
ashkoñ se mere rabt purāne nikal paḌe
patthar ke is dayār se shāne nikal paḌe
ik sang se jo baḌhne lagīñ āshnā.iyāñ
dānista ham bhī Thokareñ khāne nikal paḌe
ghar vāpsī kā vaqt thā Dhalne lagī thī shaam
bikhre jahāñ jahāñ the uThāne nikal paḌe
phir le ke aayā hai unheñ galiyoñ meñ iztirāb
ham phir vahīñ pe dhuul uḌāne nikal paḌe
ḳhalvat milī to chīḳh paḌīñ be-zabāniyāñ
siine meñ dard shor machāne nikal paḌe
muztar dil-e-tabāh kī nādāniyāñ to dekh
jis ko gañvā ke aa.e the paane nikal paḌe
baḌhne lagī ḳhalish to umañD aa.iiñ bārisheñ
sahrā meñ ham bhī sabza ugāne nikal paḌe
kuchh bhī anā kā zo.am na ḳhuddāriyoñ kā paas
'tārā' ham us ko ḳhud hī manāne nikal paḌe
ashkon se mere rabt purane nikal paDe
patthar ke is dayar se shane nikal paDe
ek sang se jo baDhne lagin aashnaiyan
danista hum bhi Thokaren khane nikal paDe
ghar wapsi ka waqt tha Dhalne lagi thi sham
bikhre jahan jahan the uThane nikal paDe
phir le ke aaya hai unhen galiyon mein iztirab
hum phir wahin pe dhul uDane nikal paDe
KHalwat mili to chiKH paDin be-zabaniyan
sine mein dard shor machane nikal paDe
muztar dil-e-tabah ki nadaniyan to dekh
jis ko ganwa ke aae the pane nikal paDe
baDhne lagi KHalish to umanD aain barishen
sahra mein hum bhi sabza ugane nikal paDe
kuchh bhi ana ka zoam na KHuddariyon ka pas
'tara' hum us ko KHud hi manane nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.