asir-e-ab-o-gil ko ek din aazad hona tha
asīr-e-āb-o-gil ko ek din āzād honā thā
na.ī duniyā meñ jaanā thā vahāñ ābād honā thā
mohabbat karne vaalo jā rahe ho ab kahāñ marne
jahāñ dil ko lagāyā thā vahīñ barbād honā thā
ḳhushī miltī kahāñ se jab ba-nām-e-gardish-e-daurāñ
use nāshād karnā thā mujhe nāshād honā thā
ye apnī ḳhush-nasībī thī ki ham pahle chale aa.e
sitam jo us ko Dhānā thā abhī ījād honā thā
'kañval' shahr-e-nigārāñ meñ thā itnā hosh kab dil ko
kahāñ rahnā thā bandish meñ kahāñ āzād honā thā
asir-e-ab-o-gil ko ek din aazad hona tha
nai duniya mein jaana tha wahan aabaad hona tha
mohabbat karne walo ja rahe ho ab kahan marne
jahan dil ko lagaya tha wahin barbaad hona tha
KHushi milti kahan se jab ba-nam-e-gardish-e-dauran
use nashad karna tha mujhe nashad hona tha
ye apni KHush-nasibi thi ki hum pahle chale aae
sitam jo us ko Dhana tha abhi ijad hona tha
'kanwal' shahr-e-nigaran mein tha itna hosh kab dil ko
kahan rahna tha bandish mein kahan aazad hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.