asir-e-azmat-e-kirdar bhi nahin hue hain
asīr-e-azmat-e-kirdār bhī nahīñ hue haiñ
abhī to sāhab-e-dastār bhī nahīñ hue haiñ
ham ik tarah se giraftār to hue haiñ magar
kuchh is tarah se giraftār bhī nahīñ hue haiñ
hamesha lete haiñ ham ḳhud-aziyyatī kā maza
hamāre dard girāñ-bār bhī nahīñ hue haiñ
abhī se kis liye tum ko paḌī hai jaane kī
abhī to bañd ye bāzār bhī nahīñ hue haiñ
abhī ḳhayāl meñ ham ne kiyā hai ghar ta.amīr
abhī to is meñ giraftār bhī nahīñ hue haiñ
hazāroñ kaam hamāre liye haiñ kyoñ tayyār
abhī to niiñd se bedār bhī nahīñ hue haiñ
tamām log gharoñ meñ dubak ke jā baiTheñ
ye shahr itne pur-asrār bhī nahīñ hue haiñ
uTheñ aur us kī galī meñ kahīñ bhī jā baiTheñ
'hanīf' itne subuksār bhī nahīñ hue haiñ
asir-e-azmat-e-kirdar bhi nahin hue hain
abhi to sahab-e-dastar bhi nahin hue hain
hum ek tarah se giraftar to hue hain magar
kuchh is tarah se giraftar bhi nahin hue hain
hamesha lete hain hum KHud-aziyyati ka maza
hamare dard giran-bar bhi nahin hue hain
abhi se kis liye tum ko paDi hai jaane ki
abhi to band ye bazar bhi nahin hue hain
abhi KHayal mein hum ne kiya hai ghar tamir
abhi to is mein giraftar bhi nahin hue hain
hazaron kaam hamare liye hain kyon tayyar
abhi to nind se bedar bhi nahin hue hain
tamam log gharon mein dubak ke ja baiThen
ye shahr itne pur-asrar bhi nahin hue hain
uThen aur us ki gali mein kahin bhi ja baiThen
'hanif' itne subuksar bhi nahin hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.