asir-e-dard ho kar ji raha hun
asīr-e-dard ho kar jī rahā huuñ
ki ab aañsū nahīñ ḳhuuñ pī rahā huuñ
tirī furqat satā.egī mujhe kyā
meñ ḳhud chāk-e-garebāñ sī rahā huuñ
mujhe kyuuñ aaj Thukrātī hai duniyā
kabhī us kī zarūrat bhī rahā huuñ
mujhe fursat kahāñ hai dasht-e-ġham se
hamesha ābla-pā hī rahā huuñ
asir-e-dard ho kar ji raha hun
ki ab aansu nahin KHun pi raha hun
teri furqat sataegi mujhe kya
mein KHud chaak-e-gareban si raha hun
mujhe kyun aaj Thukraati hai duniya
kabhi us ki zarurat bhi raha hun
mujhe fursat kahan hai dasht-e-gham se
hamesha aabla-pa hi raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.