asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle
asīr-e-dasht-e-tilismāt aab se nikle
bahut dinoñ meñ safīne sarāb se nikle
tapish hai aisī shaboñ meñ ki uḌ ga.ī nīñdeñ
sabhī chamakte hue rang ḳhvāb se nikle
hisār-e-jabr se mumkin najāt thī lekin
jhukā ke sar na kisī tañg baab se nikle
kabhī to dard kā sho'la zabān par bhaḌke
dahaktā ḳhuun ragoñ ke 'azāb se nikle
bhare gharoñ se bichhaḌne kā ġham nahīñ 'shāhīn'
yahī bahut hai ki shahr-e-ḳharāb se nikle
asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle
bahut dinon mein safine sarab se nikle
tapish hai aisi shabon mein ki uD gai ninden
sabhi chamakte hue rang KHwab se nikle
hisar-e-jabr se mumkin najat thi lekin
jhuka ke sar na kisi tang bab se nikle
kabhi to dard ka sho'la zaban par bhaDke
dahakta KHun ragon ke 'azab se nikle
bhare gharon se bichhaDne ka gham nahin 'shahin'
yahi bahut hai ki shahr-e-KHarab se nikle
- Book : Ishq-e-Tamam (Pg. 43)
- Author : Javed Shaheen
- Publication : Sang e Meel Publications, Lahore (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.