asir-e-gardish-e-dauran hue hain
asīr-e-gardish-e-daurāñ hue haiñ
mire jiine ke ye sāmāñ hue haiñ
jo aa.e rū-ba-rū ham aa.ine ke
to ḳhud ko dekh kar hairāñ hue haiñ
faqīroñ kī tarah rahte the lekin
vo sultānoñ ke bhī sultāñ hue haiñ
ik aisā vaqt bhī aayā hai logo
ki ḳhud par aap nauha-ḳhvāñ hue haiñ
hue 'mansūr' jab begāna ḳhud se
hamāre ḳhuuñ bahut arzāñ hue haiñ
asir-e-gardish-e-dauran hue hain
mere jine ke ye saman hue hain
jo aae ru-ba-ru hum aaine ke
to KHud ko dekh kar hairan hue hain
faqiron ki tarah rahte the lekin
wo sultanon ke bhi sultan hue hain
ek aisa waqt bhi aaya hai logo
ki KHud par aap nauha-KHwan hue hain
hue 'mansur' jab begana KHud se
hamare KHun bahut arzan hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.