Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asir-e-ishq-e-maraz hain to kya dawa karte

Saqib Lakhnavi

asir-e-ishq-e-maraz hain to kya dawa karte

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    asīr-e-ishq-e-maraz haiñ to kyā davā karte

    jo intihā ko pahuñchte to ibtidā karte

    agar zamāne meñ apne kabhī vafā karte

    dahān-e-zaḳhm taḌapne pe kyuuñ hañsā karte

    marīz lazzat-e-fariyād kah nahīñ sakte

    jo naale kaam na aate to chup rahā karte

    ham un se mil ke bhī furqat haal kah na sake

    maza visāl khote agar gila karte

    mazāq-e-dard se nā-vāqifī nahīñ achchhī

    kabhī kabhī to mirī dāstāñ sunā karte

    shab-e-firāq gavārā na thī magar dekhī

    ab aur ḳhātir-e-mehmāñ ziyāda kyā karte

    dar-e-qafas na khulā qadr-e-sabr kar sayyād

    taḌapte ham to pahāḌoñ meñ rāstā karte

    ise jalā ke use aag burā na kiyā

    jigar jo rakhte the āḳhir vo dil ko kyā karte

    zabān vāloñ se sun sun ke hai yaqīñ 'sāqib'

    ki bolte to sanam bhī ḳhudā ḳhudā karte

    asir-e-ishq-e-maraz hain to kya dawa karte

    jo intiha ko pahunchte to ibtida karte

    agar zamane mein apne kabhi wafa karte

    dahan-e-zaKHm taDapne pe kyun hansa karte

    mariz lazzat-e-fariyaad kah nahin sakte

    jo nale kaam na aate to chup raha karte

    hum un se mil ke bhi furqat ka haal kah na sake

    maza visal ka khote agar gila karte

    mazaq-e-dard se na-waqifi nahin achchhi

    kabhi kabhi to meri dastan suna karte

    shab-e-firaq gawara na thi magar dekhi

    ab aur KHatir-e-mehman ziyaada kya karte

    dar-e-qafas na khula qadr-e-sabr kar sayyaad

    taDapte hum to pahaDon mein rasta karte

    ise jala ke use aag di bura na kiya

    jigar jo rakhte the aaKHir wo dil ko kya karte

    zaban walon se sun sun ke hai yaqin 'saqib'

    ki bolte to sanam bhi KHuda KHuda karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now