asir-e-ishq hun dard-e-nihan sone nahin deta
asīr-e-ishq huuñ dard-e-nihāñ sone nahīñ detā
mujhe Dastī hai tanhā.ī makāñ sone nahīñ detā
jo baḳhshe the bahāroñ ne abhī vo zaḳhm taaza haiñ
ki bū-e-gul tilism-e-gulsitāñ sone nahīñ detā
mujhe āfāq kī sab manzileñ tasḳhīr karnī haiñ
yahī josh-e-junūñ azm-e-javāñ sone nahīñ detā
na vo sochoñ se utregā na āñkheñ chain pā.eñgī
ḳhayāl-e-paikar-e-husn-e-butāñ sone nahīñ detā
asir-e-ishq hun dard-e-nihan sone nahin deta
mujhe Dasti hai tanhai makan sone nahin deta
jo baKHshe the bahaaron ne abhi wo zaKHm taza hain
ki bu-e-gul tilism-e-gulsitan sone nahin deta
mujhe aafaq ki sab manzilen tasKHir karni hain
yahi josh-e-junun azm-e-jawan sone nahin deta
na wo sochon se utrega na aankhen chain paengi
KHayal-e-paikar-e-husn-e-butan sone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.