asir-e-qafas ka ubarna bhi ho
asīr-e-qafas kā ubarnā bhī ho
jo yakjā hue to bikharnā bhī ho
kisī mah-jabīñ kā sañvarnā bhī ho
hamārī galī se guzarnā bhī ho
hamīñ kab talak mar ke jiite raheñ
kisī shoḳh kā ham pe marnā bhī ho
rahe 'umr-bhar josh-e-ulfat magar
kabhī 'ishq meñ aah bharnā bhī ho
musalsal guzartī huī ziist kā
ghaḌī do ghaḌī ko Thaharnā bhī ho
asir-e-qafas ka ubarna bhi ho
jo yakja hue to bikharna bhi ho
kisi mah-jabin ka sanwarna bhi ho
hamari gali se guzarna bhi ho
hamin kab talak mar ke jite rahen
kisi shoKH ka hum pe marna bhi ho
rahe 'umr-bhar josh-e-ulfat magar
kabhi 'ishq mein aah bharna bhi ho
musalsal guzarti hui zist ka
ghaDi do ghaDi ko Thaharna bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.