asir-e-wada-e-be-etibar baiThe hain
asīr-e-vāda-e-be-etibār baiThe haiñ
jahāñ pe chhoḌ ga.ī thī bahār baiThe haiñ
nasīm-e-sub.h-e-bahārī idhar na aa ki idhar
fareb-ḳhurda-e-fasl-e-bahār baiThe haiñ
bagūle raqs meñ phir aa ga.e haiñ aur ham log
abhī to jhaaḌ ke gard-o-ġhubār baiThe haiñ
hai lab pe aah falak par nigāh tañg zamīñ
vatan-nasīb ġharīb-ud-dayār baiThe haiñ
kabhī to haath pahuñch jā.egā garebāñ tak
kabhī to aa.egī fasl-e-bahār baiThe haiñ
haiñ un ke haath shahīdoñ ke ḳhuuñ se tar 'nashtar'
vahī jo sūrat-e-parvardigār baiThe haiñ
asir-e-wada-e-be-etibar baiThe hain
jahan pe chhoD gai thi bahaar baiThe hain
nasim-e-subh-e-bahaari idhar na aa ki idhar
fareb-KHurda-e-fasl-e-bahaar baiThe hain
bagule raqs mein phir aa gae hain aur hum log
abhi to jhaD ke gard-o-ghubar baiThe hain
hai lab pe aah falak par nigah tang zamin
watan-nasib gharib-ud-dayar baiThe hain
kabhi to hath pahunch jaega gareban tak
kabhi to aaegi fasl-e-bahaar baiThe hain
hain un ke hath shahidon ke KHun se tar 'nashtar'
wahi jo surat-e-parwardigar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.