asir-e-wahshat-e-hijran ko bad-guman na samajh
asir-e-wahshat-e-hijran ko bad-guman na samajh
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
asīr-e-vahshat-e-hijrāñ ko bad-gumāñ na samajh
garāñ ye vaqt sahī mujh ko sargirāñ na samajh
kuchh aur bhī yahāñ uslūb haiñ balāġhat ke
mujhe sukūt-o-sadā ke hī darmiyāñ na samajh
vo ek lamha-e-qurbat gurez-pā hī sahī
judā.iyoñ kā ye manzar bhī jāvedāñ na samajh
ye kyā ki laakh suḳhan-hā-e-guftanī haiñ magar
vo sāmne ho to phir kaam kī zabāñ na samajh
kabhī to tū mirī vāraftagī kī zad meñ bhī aa
mujhe hī apnī mohabbat kā tarjumāñ na samajh
safar ke ranj haiñ apnī jagah magar 'sarmad'
jo tajrabāt haiñ rastoñ ke rā.egāñ na samajh
asir-e-wahshat-e-hijran ko bad-guman na samajh
garan ye waqt sahi mujh ko sargiran na samajh
kuchh aur bhi yahan uslub hain balaghat ke
mujhe sukut-o-sada ke hi darmiyan na samajh
wo ek lamha-e-qurbat gurez-pa hi sahi
judaiyon ka ye manzar bhi jawedan na samajh
ye kya ki lakh suKHan-ha-e-guftani hain magar
wo samne ho to phir kaam ki zaban na samajh
kabhi to tu meri waraftagi ki zad mein bhi aa
mujhe hi apni mohabbat ka tarjuman na samajh
safar ke ranj hain apni jagah magar 'sarmad'
jo tajrabaat hain raston ke raegan na samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.