asir-e-zat hun apne badan ke andar main
asīr-e-zāt huuñ apne badan ke andar maiñ
rihā.ī qaid-e-anāsir se pā.ūñ kyūñ-kar maiñ
guzar ga.e ka.ī tūfāñ qarīb se ho kar
khaḌā huā sar-e-sāhil huuñ kab se shashdar meñ
kise aziiz nahīñ apne bām-o-dar lekin
huā huuñ soch samajh kar hī kuchh to be-ghar maiñ
safar meñ rah ga.ī sharm-e-barahnagī merī
ġhubār-e-rāh kī oḌhe hue huuñ chādar maiñ
tarāshtā maiñ ḳhud apne na.e na.e paikar
karam se aap ke hotā jo dast-e-but-gar maiñ
mire vajūd kī had hī nahīñ koī lekin
ye aur baat ba-zāhir nahīñ samundar maiñ
safar hayāt kā tai ho rahā hai ai 'rāġhib'
huā savār anāsir ke jab se rath par maiñ
asir-e-zat hun apne badan ke andar main
rihai qaid-e-anasir se paun kyun-kar main
guzar gae kai tufan qarib se ho kar
khaDa hua sar-e-sahil hun kab se shashdar mein
kise aziz nahin apne baam-o-dar lekin
hua hun soch samajh kar hi kuchh to be-ghar main
safar mein rah gai sharm-e-barahnagi meri
ghubar-e-rah ki oDhe hue hun chadar main
tarashta main KHud apne nae nae paikar
karam se aap ke hota jo dast-e-but-gar main
mere wajud ki had hi nahin koi lekin
ye aur baat ba-zahir nahin samundar main
safar hayat ka tai ho raha hai ai 'raghib'
hua sawar anasir ke jab se rath par main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.