asiron ka ajab kuchh haal ye sayyaad karte hain
asīroñ kā ajab kuchh haal ye sayyād karte haiñ
kabhī dil shaad karte haiñ kabhī nāshād karte haiñ
jinheñ dil meñ basāyā thā jinheñ ham yaad karte haiñ
hamāre dil kī duniyā ko vahī barbād karte haiñ
hamārī yaad to dil se bhulā rakkhī thī muddat se
na jaane kis liye ham ko vo phir se yaad karte haiñ
sitam bhī hai karam un kā samajh kar kuchh yahī dil meñ
jahān-e-ishq ko ham shauq se ābād karte haiñ
hamāre qasr-e-dil ko Dhā rahe ho kuchh ḳhabar bhī hai
use barbād karte ho jise ābād karte haiñ
zamīn-o-āsmāñ rote haiñ lekin vo nahīñ rote
taḌap kar shiddat-e-ġham se jo ham fariyād karte haiñ
qamar be-nūr hotā hai sitāre maañd paḌte haiñ
ruḳh-e-raushan ko us ke ham jo 'nāzī' yaad karte haiñ
asiron ka ajab kuchh haal ye sayyaad karte hain
kabhi dil shad karte hain kabhi nashad karte hain
jinhen dil mein basaya tha jinhen hum yaad karte hain
hamare dil ki duniya ko wahi barbaad karte hain
hamari yaad to dil se bhula rakkhi thi muddat se
na jaane kis liye hum ko wo phir se yaad karte hain
sitam bhi hai karam un ka samajh kar kuchh yahi dil mein
jahan-e-ishq ko hum shauq se aabaad karte hain
hamare qasr-e-dil ko Dha rahe ho kuchh KHabar bhi hai
use barbaad karte ho jise aabaad karte hain
zamin-o-asman rote hain lekin wo nahin rote
taDap kar shiddat-e-gham se jo hum fariyaad karte hain
qamar be-nur hota hai sitare mand paDte hain
ruKH-e-raushan ko us ke hum jo 'nazi' yaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.