asrar kaise khol dun us aab-o-gil ke main
asrār kaise khol duuñ us āb-o-gil ke maiñ
mahkā huā huuñ raat kī raanī se mil ke maiñ
kyā jāniye ki kaise patā chal gayā use
kahtā nahīñ kisī se bhī ahvāl dil ke maiñ
ḳhāk-e-shifā kahīñ kī bhī aa.ī nahīñ hai raas
ab āsmān par kahīñ dekhūñgā khil ke maiñ
ab bhī vahī hai pyaas kī shiddat vahī huuñ maiñ
paanī to pahle bhī nahīñ piitā thā hil ke maiñ
chehre se lag rahā thā ki pazhmurdagī sī hai
naḳhre uThā rahā huuñ dil-e-muzmahil ke maiñ
damḌī nahīñ hai jeb meñ lekin ye dil to hai
koī bhī daam dūñgā 'yashab' us ke til ke maiñ
asrar kaise khol dun us aab-o-gil ke main
mahka hua hun raat ki rani se mil ke main
kya jaaniye ki kaise pata chal gaya use
kahta nahin kisi se bhi ahwal dil ke main
KHak-e-shifa kahin ki bhi aai nahin hai ras
ab aasman par kahin dekhunga khil ke main
ab bhi wahi hai pyas ki shiddat wahi hun main
pani to pahle bhi nahin pita tha hil ke main
chehre se lag raha tha ki pazhmurdagi si hai
naKHre uTha raha hun dil-e-muzmahil ke main
damDi nahin hai jeb mein lekin ye dil to hai
koi bhi dam dunga 'yashab' us ke til ke main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.