ata-e-dard ki tarsil na-mukammal hai
atā-e-dard kī tarsīl nā-mukammal hai
hamārī zaat kī tashkīl nā-mukammal hai
hamāre rog meñ hai band kārobār-e-jahāñ
hamāre shahr meñ ta.atīl nā-mukammal hai
miTā nahīñ hai añdherā ġhamoñ kā duniyā se
nashāt-e-rūh kī qindīl nā-mukammal hai
ai āsmān tirā zulm muḳhtasar Thahrā
hamāre zabt kī tafsīl nā-mukammal hai
nahīñ hai ġhaur-talab arz-e-mudda.ā jab tak
tumhāre hukm kī ta.amīl nā-mukammal hai
nisār us pe 'razā' jab talak na ho paa.eñ
hamāre azm kī takmīl nā-mukammal hai
ata-e-dard ki tarsil na-mukammal hai
hamari zat ki tashkil na-mukammal hai
hamare rog mein hai band karobar-e-jahan
hamare shahr mein tatil na-mukammal hai
miTa nahin hai andhera ghamon ka duniya se
nashat-e-ruh ki qindil na-mukammal hai
ai aasman tera zulm muKHtasar Thahra
hamare zabt ki tafsil na-mukammal hai
nahin hai ghaur-talab arz-e-muddaa jab tak
tumhaare hukm ki tamil na-mukammal hai
nisar us pe 'raza' jab talak na ho paen
hamare azm ki takmil na-mukammal hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 358)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.