ata kar di kisi ne wo bala ki tishnagi mujhko
'atā kar dī kisī ne vo balā kī tishnagī mujh ko
na raas aa.egī shāyad zindagī-bhar zindagī mujh ko
mirī ye bebasī to ḳhair kuchh aisī nahīñ hamdam
magar jiine nahīñ degī tirī bechārgī mujh ko
bhalā maiñ rutba-e-dīvāngī kā mustahiq kab thā
kisī ke pyaar ne de dī yūñhī dīvāngī mujh ko
koī manzil bhī ho vo merī manzil ho nahīñ saktī
azal se hī milī hai be-sabab āvārgī mujh ko
mujhe to zindagī meñ bārhā mahsūs hotā hai
mire mā'sūm ḳhvāboñ ne hī dī hai naġhmagī mujh ko
'ata kar di kisi ne wo bala ki tishnagi mujh ko
na ras aaegi shayad zindagi-bhar zindagi mujh ko
meri ye bebasi to KHair kuchh aisi nahin hamdam
magar jine nahin degi teri bechaargi mujh ko
bhala main rutba-e-diwangi ka mustahiq kab tha
kisi ke pyar ne de di yunhi diwangi mujh ko
koi manzil bhi ho wo meri manzil ho nahin sakti
azal se hi mili hai be-sabab aawargi mujh ko
mujhe to zindagi mein barha mahsus hota hai
mere ma'sum KHwabon ne hi di hai naghmagi mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.