ata kar mujhko nazare ki tab aahista-ahista
atā kar mujh ko nazāre kī taab āhista-āhista
uThā rū-e-munavvar se naqāb āhista-āhista
karam kī aarzū kyā jab karam ho jaur-e-paiham kā
gavārā hotā jaatā hai itaab āhista-āhista
vo chhup-chhup kar mulāqāteñ vo husn-o-ishq kī bāteñ
savāl āhista-āhista javāb āhista-āhista
tirī chashm-e-taġhāful rafta-rafta ho ga.ī maa.il
huā jazb-e-mohabbat kāmyāb āhista-āhista
sar-e-mahshar na ban aayā 'mubārak' jab javāb un se
uThī merī taraf chashm-e-pur-āb āhista-āhista
ata kar mujh ko nazare ki tab aahista-ahista
uTha ru-e-munawwar se naqab aahista-ahista
karam ki aarzu kya jab karam ho jaur-e-paiham ka
gawara hota jata hai itab aahista-ahista
wo chhup-chhup kar mulaqaten wo husn-o-ishq ki baaten
sawal aahista-ahista jawab aahista-ahista
teri chashm-e-taghaful rafta-rafta ho gai mail
hua jazb-e-mohabbat kaamyab aahista-ahista
sar-e-mahshar na ban aaya 'mubarak' jab jawab un se
uThi meri taraf chashm-e-pur-ab aahista-ahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.