atwar tere ahl-e-zamin se nahin milte
atvār tire ahl-e-zamīñ se nahīñ milte
andāz kisī aur hasīñ se nahīñ milte
un kī bhī ba-har-hāl guzar jaatī haiñ rāteñ
jo log kisī zohra-jabīñ se nahīñ milte
tum mehr sahī maah sahī ham se milo to
kyā ahl-e-mahak ahl-e-zamīñ se nahīñ milte
ai hazrat-e-dil un se banī hai na banegī
kyuuñ aap kisī aur hasīñ se nahīñ milte
'mirzā' ko bhī pardā nahīñ vālā-manashoñ kī
achchhā hai jo us ḳhāk-nashīñ se nahīñ milte
atwar tere ahl-e-zamin se nahin milte
andaz kisi aur hasin se nahin milte
un ki bhi ba-har-haal guzar jati hain raaten
jo log kisi zohra-jabin se nahin milte
tum mehr sahi mah sahi hum se milo to
kya ahl-e-mahak ahl-e-zamin se nahin milte
ai hazrat-e-dil un se bani hai na banegi
kyun aap kisi aur hasin se nahin milte
'mirza' ko bhi parda nahin wala-manashon ki
achchha hai jo us KHak-nashin se nahin milte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.