aur ab aql ka bar nahin gar sah sakte ho
aur ab aql ka bar nahin gar sah sakte ho
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
aur ab aql kā baar nahīñ gar sah sakte ho
dil ke is pāgal-ḳhāne meñ rah sakte ho
mere dil meñ rahnā raas nahīñ aayā to
be-shak aañkh se aañsū ban kar bah sakte ho
tum sar-tā-pā aag ho maiñ huuñ total paanī
saaf hai mere saath nahīñ tum rah sakte ho
patthar-vatthar zālim-vālim behis-vehis
mujh ko jo bhī kahnā chāho kah sakte ho
miTTī hotā to pī jaatā par shīsha huuñ
mere uupar be-fikrī se bah sakte ho
aur ab aql ka bar nahin gar sah sakte ho
dil ke is pagal-KHane mein rah sakte ho
mere dil mein rahna ras nahin aaya to
be-shak aankh se aansu ban kar bah sakte ho
tum sar-ta-pa aag ho main hun total pani
saf hai mere sath nahin tum rah sakte ho
patthar-watthar zalim-walim behis-wehis
mujh ko jo bhi kahna chaho kah sakte ho
miTTi hota to pi jata par shisha hun
mere upar be-fikri se bah sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.