aur ai ġhairat-e-gul dhyān rahe yā na rahe
aan baan apnī rahe jaan rahe yā na rahe
dahan-e-tang muammā hai tumhīñ munsif ho
aql is baat pe hairān rahe yā na rahe
misl-e-mansūr kaheñge na kabhī kalma-e-haq
kāfir-e-ishq haiñ īmān rahe yā na rahe
zulf dariyā meñ vo dhote haiñ balā se un kī
mauj-dar-mauj pareshān rahe yā na rahe
yā-alī qabr meñ pūchheñ jo malak batlānā
shāyad us vaqt hameñ dhyān rahe yā na rahe
abr hai yaar hai gulzār hai ho shaġhl-e-sharāb
phir ye kyā jāniye sāmān rahe yā na rahe
ham to sadqe kā bhī putlā na bane kyā jāneñ
saikḌoñ aap pe qurbān rahe yā na rahe
muft dil le ke baḌe tum to siyāne Thahre
hameñ farmā.iye nādāñ rahe yā na rahe
ruḳhsat-e-rūh-e-ravāñ ho ki na ho batlāo
jāma-e-tan meñ ye mehmān rahe yā na rahe
aaj chaltī hai zabāñ naza.a meñ kal kyā mālūm
baat karne kā bhī imkān rahe yā na rahe
maiñ vo ġham-dost huuñ rāhat se nahīñ kaam ai 'shād'
dard pahlū meñ rahe jaan rahe yā na rahe
aur ai ghairat-e-gul dhyan rahe ya na rahe
aan ban apni rahe jaan rahe ya na rahe
dahan-e-tang muamma hai tumhin munsif ho
aql is baat pe hairan rahe ya na rahe
misl-e-mansur kahenge na kabhi kalma-e-haq
kafir-e-ishq hain iman rahe ya na rahe
zulf dariya mein wo dhote hain bala se un ki
mauj-dar-mauj pareshan rahe ya na rahe
ya-ali qabr mein puchhen jo malak batlana
shayad us waqt hamein dhyan rahe ya na rahe
abr hai yar hai gulzar hai ho shaghl-e-sharab
phir ye kya jaaniye saman rahe ya na rahe
hum to sadqe ka bhi putla na bane kya jaanen
saikDon aap pe qurban rahe ya na rahe
muft dil le ke baDe tum to siyane Thahre
hamein farmaiye nadan rahe ya na rahe
ruKHsat-e-ruh-e-rawan ho ki na ho batlao
jama-e-tan mein ye mehman rahe ya na rahe
aaj chalti hai zaban naza mein kal kya malum
baat karne ka bhi imkan rahe ya na rahe
main wo gham-dost hun rahat se nahin kaam ai 'shad'
dard pahlu mein rahe jaan rahe ya na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.