aur bhi ek fareb khane de
aur bhī ik fareb khāne de
muskurātā huuñ muskurāne de
āshnā zindagī se kar mujh ko
apnī āñkhoñ meñ Duub jaane de
tīrgī is se miT sake shāyad
sham-e-mahfil ko jagmagāne de
aaj apnā hai aaj kī kar fikr
kal parāyā thā kal ko jaane de
dil kahīñ bujh na jaa.e ai 'premī'
dard kī lau zarā baḌhāne de
aur bhi ek fareb khane de
muskuraata hun muskurane de
aashna zindagi se kar mujh ko
apni aankhon mein Dub jaane de
tirgi is se miT sake shayad
sham-e-mahfil ko jagmagane de
aaj apna hai aaj ki kar fikr
kal paraya tha kal ko jaane de
dil kahin bujh na jae ai 'premi'
dard ki lau zara baDhane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.