aur hawa dun dil mein aag bhaDakti ko
aur havā duuñ dil meñ aag bhaḌaktī ko
sho.ala sho.ala raakh kare jo hastī ko
dil thā ek bagūlā hijr ke sahrā meñ
naach rahā thā le kar vasl kī mastī ko
aañkh ke naḳhlistān meñ ret bikhartī hai
kaun sā rasta jaatā hai is bastī ko
gaañv se jo ḳhvāb uThā kar niklā thā
shahr meñ aa kar bhuul gayā pagDanDī ko
merā dil to ḳhālī hai ab dhaḌkan se
kaise koī dekhe nabz dhaḌaktī ko
aur hawa dun dil mein aag bhaDakti ko
shoala shoala rakh kare jo hasti ko
dil tha ek bagula hijr ke sahra mein
nach raha tha le kar wasl ki masti ko
aankh ke naKHlistan mein ret bikharti hai
kaun sa rasta jata hai is basti ko
ganw se jo KHwab uTha kar nikla tha
shahr mein aa kar bhul gaya pagDanDi ko
mera dil to KHali hai ab dhaDkan se
kaise koi dekhe nabz dhaDakti ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.