aur ke hisse aati hai
aur ke hisse aatī hai
mujh ko jo shai bhātī hai
shaam Dhale kyoñ tanhā.ī
mere ghar aa jaatī hai
kis se pūchh ke itne sitam
qismat mujh par Dhātī hai
merā number aate hī
line ḳhatm ho jaatī hai
jab bhī ḳhush hotā huuñ maiñ
ruuh bahut ghabrātī hai
itnā tanhā hotā huuñ
dhaḌkan ruk ruk jaatī hai
tum hote to kah detā
yaad tumhārī aatī hai
aur ke hisse aati hai
mujh ko jo shai bhati hai
sham Dhale kyon tanhai
mere ghar aa jati hai
kis se puchh ke itne sitam
qismat mujh par Dhati hai
mera number aate hi
line KHatm ho jati hai
jab bhi KHush hota hun main
ruh bahut ghabraati hai
itna tanha hota hun
dhaDkan ruk ruk jati hai
tum hote to kah deta
yaad tumhaari aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.