aur kis shai se dagh-e-dil dhoen
aur kis shai se dāġh-e-dil dho.eñ
kyā kareñ gar na is qadar ro.eñ
dil to patthar banā diyā tū ne
aarzū kis zamīn meñ bo.eñ
ham kisī baat se nahīñ Darte
ham ne paayā hī kyā hai jo kho.eñ
aaj fursat milī haiñ muddat ba.ad
aao! tañgī-e-vaqt par ro.eñ
ham yahī ḳhvāb dekhte haiñ 'asad'
un ke shāne pe rakh ke sar so.eñ
aur kis shai se dagh-e-dil dhoen
kya karen gar na is qadar roen
dil to patthar bana diya tu ne
aarzu kis zamin mein boen
hum kisi baat se nahin Darte
hum ne paya hi kya hai jo khoen
aaj fursat mili hain muddat baad
aao! tangi-e-waqt par roen
hum yahi KHwab dekhte hain 'asad'
un ke shane pe rakh ke sar soen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.