aur kuchh din yahan rukne ka bahana milta
aur kuchh din yahāñ rukne kā bahāna miltā
is na.e shahr meñ koī to purānā miltā
maiñ to jo kuchh bhī thā jitnā bhī thā sab miTTī thā
tum agar DhūñDte mujh meñ to ḳhazāna miltā
mujh ko hañsne ke liye dost mayassar haiñ bahut
kaash rone ke liye bhī koī shāna miltā
maiñ kaḌī dhuup meñ bhaTkā huuñ tumhārī ḳhātir
tum jo mil jaate to mausam bhī suhāna miltā
mere aañsū tirī āñkhoñ se chhalakte kisī roz
terī zulfoñ se kisī din mirā shāna miltā
tum ne jaate hue dekhā hī nahīñ merī taraf
varna mujh meñ tumheñ apnā hī fasāna miltā
saath rahne kī chukā.ī hai baḌī qīmat bhī
chhoḌ dete jo tujhe ham to zamāna miltā
khet par lagne lage pahre ḳhazānoñ kī tarah
yuuñ na hotā to parindoñ ko bhī daana miltā
le ga.e ham hī use mandir-o-masjid kī taraf
varna har raah meñ us kā hī Thikāna miltā
aur kuchh din yahan rukne ka bahana milta
is nae shahr mein koi to purana milta
main to jo kuchh bhi tha jitna bhi tha sab miTTi tha
tum agar DhunDte mujh mein to KHazana milta
mujh ko hansne ke liye dost mayassar hain bahut
kash rone ke liye bhi koi shana milta
main kaDi dhup mein bhaTka hun tumhaari KHatir
tum jo mil jate to mausam bhi suhana milta
mere aansu teri aankhon se chhalakte kisi roz
teri zulfon se kisi din mera shana milta
tum ne jate hue dekha hi nahin meri taraf
warna mujh mein tumhein apna hi fasana milta
sath rahne ki chukai hai baDi qimat bhi
chhoD dete jo tujhe hum to zamana milta
khet par lagne lage pahre KHazanon ki tarah
yun na hota to parindon ko bhi dana milta
le gae hum hi use mandir-o-masjid ki taraf
warna har rah mein us ka hi Thikana milta
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 102)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.