aur kuchh tez chalin ab ke hawaen shayad
aur kuchh tez chalīñ ab ke havā.eñ shāyad
ghar banāne kī milīñ ham ko sazā.eñ shāyad
bhar ga.e zaḳhm masīhā.ī ke marham ke baġhair
maañ ne kī haiñ mire jiine kī du'ā.eñ shāyad
maiñ ne kal ḳhvāb meñ ḳhud apnā lahū dekhā hai
Tal ga.iiñ sar se mire saarī balā.eñ shāyad
maiñ ne kal jin ko añdheroñ se dilā.ī thī najāt
ab vahī log mire dil ko jalā.eñ shāyad
phir vahī sar hai vahī sañg-e-malāmat us kā
dar-guzar kar diiñ mirī us ne ḳhatā.eñ shāyad
ab vo kahtā nahīñ mujh se ki barahna tū hai
chhin ga.iiñ us ke badan kī bhī qabā.eñ shāyad
is bharose pe khilā hai mirā darvāza 'ra.īs'
rūThne vaale kabhī lauT ke aa.eñ shāyad
aur kuchh tez chalin ab ke hawaen shayad
ghar banane ki milin hum ko sazaen shayad
bhar gae zaKHm masihai ke marham ke baghair
man ne ki hain mere jine ki du'aen shayad
main ne kal KHwab mein KHud apna lahu dekha hai
Tal gain sar se mere sari balaen shayad
main ne kal jin ko andheron se dilai thi najat
ab wahi log mere dil ko jalaen shayad
phir wahi sar hai wahi sang-e-malamat us ka
dar-guzar kar din meri us ne KHataen shayad
ab wo kahta nahin mujh se ki barahna tu hai
chhin gain us ke badan ki bhi qabaen shayad
is bharose pe khila hai mera darwaza 'rais'
ruThne wale kabhi lauT ke aaen shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.