aur kya hoga dil-e-mahjur ki aaghosh mein
aur kya hoga dil-e-mahjur ki aaghosh mein
Abdur Rauf Shahid Ansari
MORE BYAbdur Rauf Shahid Ansari
aur kyā hogā dil-e-mahjūr kī āġhosh meñ
jal rahā hai tuur barq-e-tūr kī āġhosh meñ
yuuñ lagā rakhī hai dil se zindagī kī aarzū
jaise tifl-e-jāñ-ba-lab mazdūr kī āġhosh meñ
nuur hī kī justujū meñ kaT ga.ī umr-e-azīz
dam bhī parvāne kā niklā nuur kī āġhosh meñ
thak ga.e the justujū meñ hazrat-e-insān kī
so ga.e ham duḳhtar-e-añgūr kī āġhosh meñ
jāgnā vaa.iz kā sub.h-e-hashr tak mumkin nahīñ
so.e haiñ hazrat ḳhayāl-e-hūr kī āġhosh meñ
mere sāġhar meñ hai 'shāhid' ab vo jān-e-mai-kadā
gum thī jo ḳhayyām nīshpūr kī āġhosh meñ
aur kya hoga dil-e-mahjur ki aaghosh mein
jal raha hai tur barq-e-tur ki aaghosh mein
yun laga rakhi hai dil se zindagi ki aarzu
jaise tifl-e-jaan-ba-lab mazdur ki aaghosh mein
nur hi ki justuju mein kaT gai umr-e-aziz
dam bhi parwane ka nikla nur ki aaghosh mein
thak gae the justuju mein hazrat-e-insan ki
so gae hum duKHtar-e-angur ki aaghosh mein
jagna waiz ka subh-e-hashr tak mumkin nahin
soe hain hazrat KHayal-e-hur ki aaghosh mein
mere saghar mein hai 'shahid' ab wo jaan-e-mai-kada
gum thi jo KHayyam nishpur ki aaghosh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.