aur kya umr ki kahani hai
aur kyā umr kī kahānī hai
rā.egānī hī rā.egānī hai
ek ḳhāke meñ rañg bharnā hai
ik kahānī magar chhupānī hai
mujh ko taqlīd se bhī bachnā hai
sham.a se sham.a bhī jalānī hai
shahr meñ oḌhnī bhī hai tahzīb
dasht meñ ḳhaak bhī uḌānī hai
husn qaa.em zamīñ kā rakhte hue
ek bastī na.ī basānī hai
ek būḌhā ye kahtā phirtā hai
tāzgī aaj bhī purānī hai
ishq qaa.il nahīñ huā hai 'valī'
maslahat rāh-e-darmiyānī hai
aur kya umr ki kahani hai
raegani hi raegani hai
ek KHake mein rang bharna hai
ek kahani magar chhupani hai
mujh ko taqlid se bhi bachna hai
shama se shama bhi jalani hai
shahr mein oDhni bhi hai tahzib
dasht mein KHak bhi uDani hai
husn qaem zamin ka rakhte hue
ek basti nai basani hai
ek buDha ye kahta phirta hai
tazgi aaj bhi purani hai
ishq qail nahin hua hai 'wali'
maslahat rah-e-darmiyani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.