aur kya zindagi rah gai
aur kyā zindagī rah ga.ī
ik musalsal kamī rah ga.ī
vaqt phir darmiyāñ aa gayā
baat phir an-kahī rah ga.ī
paas jañgal koī jal gayā
raakh har-sū jamī rah ga.ī
zar kā īñdhan banī fikr-e-nau
shā.irī adh-marī rah ga.ī
maiñ na royā na khul kar hañsā
har nafas tishnagī rah ga.ī
tum na aa.e mirī zindagī
raah taktī huī rah ga.ī
paas dariyā-dilī rakh liyā
laakh tishna-labī rah ga.ī
phir fanā kā payām aa gayā
ek ummīd thī rah ga.ī
aap 'ahmad' kahāñ rah ga.e
aur kahāñ zindagī rah ga.ī
aur kya zindagi rah gai
ek musalsal kami rah gai
waqt phir darmiyan aa gaya
baat phir an-kahi rah gai
pas jangal koi jal gaya
rakh har-su jami rah gai
zar ka indhan bani fikr-e-nau
shairi adh-mari rah gai
main na roya na khul kar hansa
har nafas tishnagi rah gai
tum na aae meri zindagi
rah takti hui rah gai
pas dariya-dili rakh liya
lakh tishna-labi rah gai
phir fana ka payam aa gaya
ek ummid thi rah gai
aap 'ahmad' kahan rah gae
aur kahan zindagi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.