aur mushkil ye aa paDi hum par
aur mushkil ye aa paḌī ham par
tanz karte haiñ aap bhī ham par
phir bhī zinda haiñ ham zamāne meñ
har jafā us ne toḌ lī ham par
miT rahe haiñ ḳhulūs ke bande
ḳhatm hai daur-e-āshiqī ham par
sāda-lohī kā ye sila paayā
ab bigaḌtā hai har koī ham par
bin tire ghūmte haiñ jab tanhā
muskurātī hai chāñdnī ham par
ek tohmat haiñ zindagī par ham
ek tohmat hai zindagī ham par
roz jaur-o-itāb hotā hai
ho nigah lutf kī kabhī ham par
kyā ḳhabar thī ki ek din 'āsī'
muskurā.egā har koī ham par
aur mushkil ye aa paDi hum par
tanz karte hain aap bhi hum par
phir bhi zinda hain hum zamane mein
har jafa us ne toD li hum par
miT rahe hain KHulus ke bande
KHatm hai daur-e-ashiqi hum par
sada-lohi ka ye sila paya
ab bigaDta hai har koi hum par
bin tere ghumte hain jab tanha
muskuraati hai chandni hum par
ek tohmat hain zindagi par hum
ek tohmat hai zindagi hum par
roz jaur-o-itab hota hai
ho nigah lutf ki kabhi hum par
kya KHabar thi ki ek din 'asi'
muskuraega har koi hum par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.