aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe
aur na dar-ba-dar phirā aur na aazmā mujhe
bas mire parda-dār bas! ab nahīñ hausla mujhe
saḳht nazar-fareb hai ā.ina-ḳhāna-e-jamāl
us kī chamak-damak na dekh, dekh bujhā bujhā mujhe
habs-e-hujūm-e-ḳhalq se ghuT ke alag huā to maiñ
qatra ba-sat.h-e-bahar thā chaaT ga.ī havā mujhe
sabr karo muhāsibo vaqt tumheñ batā.egā
dahr ko maiñ ne kyā diyā dahr se kyā milā mujhe
sirf usī ke sāmne ḳhvār kiyā thā aas ne
yaas ne fard fard par aa.ina kar diyā mujhe
tere hī misr kā malāl tere hī najd kā ḳhayāl
shahr-ba-shahr kū-ba-kū gām-ba-gām thā mujhe
kār-gah-e-baqā mujhe zāt-o-hayāt-o-kā.enāt
zāt-o-hayāt-o-kā.enāt dā.era-e-fanā mujhe
zāt-o-hayāt-o-kā.enāt be-sar-o-pā o be-sabāt
be-sar-o-pā o be-sabāt shai se umiid kyā mujhe
raat luġhāt-e-umr se maiñ ne chunā thā ek lafz
lafz bahut ajiib thā yaad nahīñ rahā mujhe
thā guzarāñ guzar gayā vaqt-e-visāl aur bas
ḳhaak bhī chhāntā phirā phir na kabhī milā mujhe
maiñ ne hañsī-ḳhushī use jaane diyā thā haañ magar
ye to muāhida na thā muḌ ke na dekhnā mujhe
shaam us aadmī kī yaad aa.ī jo ek umr ba.ad
jāniye kis azaab meñ kar ga.ī mubtalā mujhe
maiñ ne use shikast dī sīna-ba-sīna lab-ba-lab
sīna-ba-sīna lab-ba-lab us ne harā diyā mujhe
jo na sunā thā dahr se us kī zabāñ se sun liyā
ab mujhe koī kuchh kahe fikr nahīñ zarā mujhe
haiñ tirī mehrbāniyāñ bhūlī huī kahāniyāñ
bhūlī huī kahāniyāñ yaad na ab dilā mujhe
fan ko samajh liyā gayā mahz atiyya-e-falak
sa.ī-o-riyāz kā sila ḳhuub diyā gayā mujhe
mahram-e-ḳhās dekhnā so to nahīñ gayā 'shu.ūr'
der huī sune hue koī na.ī sadā mujhe
aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe
bas mere parda-dar bas! ab nahin hausla mujhe
saKHt nazar-fareb hai aaina-KHana-e-jamal
us ki chamak-damak na dekh, dekh bujha bujha mujhe
habs-e-hujum-e-KHalq se ghuT ke alag hua to main
qatra ba-sath-e-bahar tha chaT gai hawa mujhe
sabr karo muhasibo waqt tumhein bataega
dahr ko main ne kya diya dahr se kya mila mujhe
sirf usi ke samne KHwar kiya tha aas ne
yas ne fard fard par aaina kar diya mujhe
tere hi misr ka malal tere hi najd ka KHayal
shahr-ba-shahr ku-ba-ku gam-ba-gam tha mujhe
kar-gah-e-baqa mujhe zat-o-hayat-o-kaenat
zat-o-hayat-o-kaenat daera-e-fana mujhe
zat-o-hayat-o-kaenat be-sar-o-pa o be-sabaat
be-sar-o-pa o be-sabaat shai se umid kya mujhe
raat lughat-e-umr se main ne chuna tha ek lafz
lafz bahut ajib tha yaad nahin raha mujhe
tha guzaran guzar gaya waqt-e-visal aur bas
KHak bhi chhanta phira phir na kabhi mila mujhe
main ne hansi-KHushi use jaane diya tha han magar
ye to muahida na tha muD ke na dekhna mujhe
sham us aadmi ki yaad aai jo ek umr baad
jaaniye kis azab mein kar gai mubtala mujhe
main ne use shikast di sina-ba-sina lab-ba-lab
sina-ba-sina lab-ba-lab us ne hara diya mujhe
jo na suna tha dahr se us ki zaban se sun liya
ab mujhe koi kuchh kahe fikr nahin zara mujhe
hain teri mehrbaniyan bhuli hui kahaniyan
bhuli hui kahaniyan yaad na ab dila mujhe
fan ko samajh liya gaya mahz atiyya-e-falak
sai-o-riyaz ka sila KHub diya gaya mujhe
mahram-e-KHas dekhna so to nahin gaya 'shuur'
der hui sune hue koi nai sada mujhe
- Book : Pakistani Adab (Pg. 366)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.